Followers

Ab kis ka jashn manate ho us desh ka jo taqsiim hua

Ab kis ka jashn manate ho us desh ka jo taqsiim hua 
Ab kis ke geet sunate ho us tan man ka jo do neem hua 

[taqsiim=divided; do neem=cut in two] 


Us khwaab ka jo reza reza un aankhon ki taqdeer hua 

Us naam ka jo tukda tukda galiyon mein be-tauqeer hua 

Us parcham ka jis ki hurmat bazaaron mein neelaam hui 

Us mitti ka jis ki hurmat mansoob udoo ke naam hui 

parcham=flag; hurmat=respect/honour;mansoob=nominated, udoo=enemy 


Us jang ko jo tum haar chuke us rasm ka jo jaari bhi nahi 

Us zakhm ka jo seene pe na tha us jaan ka jo waari bhi nahi 


Us khoon ka jo bad kismat tha raahon mein bahaya tan mein raha 

Us phool ka jo be keemat tha aangan mein khila ya van mein raha 


Us mashriq ka jis ko tum ne neze ki ani marham samajha 

Us magarib ka jis ko tum ne jitna bhi loota kam samajha 

[mashriq=east; nezaa=spear; anii=spear's point] 

[marham=salve/ointment; magarib=west] 

Un maasoomo ka jin ke lahoo se tum ne farozaan raaten ki 

Ya un mazaloomon ka jis se khanjar ki zubaan mein baaten ki

farozaan=illuminate; mazaloom=oppressed 


Us mariyam ka jis ki iffat lutti hai bhare baazaaron mein 

Us iisa ka jo kaatil hai aur shaamil hai gam khwaaron mein 


In nauhaagaron ka jin ne hume khud katl kiya khud rote hain 

Aise bhi kahi dam saaz huye aise jallaad bhi hote hai 


Un bhookhe nange dhaanchon ka jo raqs sar-e-baazaar karen 

Ya un zaalim qazzaaqon ka jo bhes badal kar waar karen 


Ya un jhoothe iqaraaron ka jo aaj talak aifa na hue 

Ya un bebas laachaaron ka jo aur bhi dukh ka nishaana hue 


Is shaahi ka jo dast-ba-dast aai hai tumhaare hisse mein 

Kyon nang-e-watan ki baat karo kya rakha hai is kisse mein 


Aankhon mein chupaye ashkon ko honthon mein wafa ke bol liye 

Is jashn mein bhi shaamil hoon nauhon se bhara kashkol liye 

(Ahmed Faraz)